ab kya ye hisab kitab rakkhen kis kis ne hamein barbaad kiya
ab kyā ye hisāb kitāb rakkheñ kis kis ne hameñ barbād kiyā
kis kis ne ḳhushiyāñ diiñ ham ko kis kis ne hameñ nāshād kiyā
ik aas thī so vo TuuT ga.ī ik saañs thī vo bhī chhūT ga.ī
ab ye kaahe kī hichkī hai ab kaun hai jis ne yaad kiyā
vo ishq thā yā majbūrī thī ab tak ye muamma hal na huā
har roz muāfī ke badle ik taaza sitam ījād kiyā
āsān nahīñ thā us ke binā par guzar ga.ī jo guzarnī thī
vo dil jo kabhī ujāḌā hī nahīñ tire ġham ne jise ābād kiyā
ye pyār-vyār kī bāteñ sab duniyā jise sher samajhtī hai
sab us kī jafā ke qisse haiñ jis ne hameñ lā.eq-e-dād kiyā
jab tum hī nahīñ hāsil ham ko kyā hāsil duniyā milne se
bejā ye ḳhvāhish-e-ishq rahī bejā ḳhud ko farhād kiyā
barbād to honā thā āḳhir ik din to kisī ke hāthoñ se
par naaz karo 'abdul-qādir' ki us ne tumheñ barbād kiyā
ab kya ye hisab kitab rakkhen kis kis ne hamein barbaad kiya
kis kis ne KHushiyan din hum ko kis kis ne hamein nashad kiya
ek aas thi so wo TuT gai ek sans thi wo bhi chhuT gai
ab ye kahe ki hichki hai ab kaun hai jis ne yaad kiya
wo ishq tha ya majburi thi ab tak ye muamma hal na hua
har roz muafi ke badle ek taza sitam ijad kiya
aasan nahin tha us ke bina par guzar gai jo guzarni thi
wo dil jo kabhi ujaDa hi nahin tere gham ne jise aabaad kiya
ye pyar-wyar ki baaten sab duniya jise sher samajhti hai
sab us ki jafa ke qisse hain jis ne hamein laeq-e-dad kiya
jab tum hi nahin hasil hum ko kya hasil duniya milne se
beja ye KHwahish-e-ishq rahi beja KHud ko farhad kiya
barbaad to hona tha aaKHir ek din to kisi ke hathon se
par naz karo 'abdul-qadir' ki us ne tumhein barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.