ab main KHud ko yaad aana chhoD dun
ab maiñ ḳhud ko yaad aanā chhoḌ duuñ
haañ ye kār-e-ahmaqāna chhoḌ duuñ
dard likhnā chhoḌ duuñ kaise bhalā
'umr bhar kā mehnatāna chhoḌ duuñ
dām-o-sayyād-o-qafas ke ḳhauf se
kyā talāsh-e-āb-o-dāna chhoḌ duuñ
āḳhirash is baat se kyā luuñ murād
tum jo kahte ho zamāna chhoḌ duuñ
yaad aanā chhoḌ do tum bhī mujhe
maiñ tumheñ bhī yaad aanā chhoḌ duuñ
yā to khul ke bol duuñ yā chup rahūñ
zer-e-lab yuuñ baḌbaḌānā chhoḌ duuñ
bā'is-e-ranj-o-alam haiñ mahfileñ
sochtā huuñ aanā jaanā chhoḌ duuñ
ab main KHud ko yaad aana chhoD dun
han ye kar-e-ahmaqana chhoD dun
dard likhna chhoD dun kaise bhala
'umr bhar ka mehnatana chhoD dun
dam-o-sayyaad-o-qafas ke KHauf se
kya talash-e-ab-o-dana chhoD dun
aaKHirash is baat se kya lun murad
tum jo kahte ho zamana chhoD dun
yaad aana chhoD do tum bhi mujhe
main tumhein bhi yaad aana chhoD dun
ya to khul ke bol dun ya chup rahun
zer-e-lab yun baDbaDana chhoD dun
ba'is-e-ranj-o-alam hain mahfilen
sochta hun aana jaana chhoD dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.