ab mariz-e-gham-e-ulfat ka KHuda hafiz hai
ab marīz-e-ġham-e-ulfat kā ḳhudā hāfiz hai
kah ke chaltā huā allāh nigahbāñ koī
ai sitamgar hai mirī jaan tirā har armān
dam nikaltā hai nikaltā hai jo armāñ koī
ab to har dam kisī vahshī ko hai sahrā kā ḳhayāl
saath apne liye phirtā hai bayābāñ koī
dard uThtā hai mire dil meñ barā-e-ta.azīm
us taraf se kabhī aatā hai jo paikāñ koī
aa.ina un ko dikhā kar ye kahā maiñ ne 'jigar'
ab na kahnā ki hai kyoñ husn kā hairāñ koī
ab mariz-e-gham-e-ulfat ka KHuda hafiz hai
kah ke chalta hua allah nigahban koi
ai sitamgar hai meri jaan tera har arman
dam nikalta hai nikalta hai jo arman koi
ab to har dam kisi wahshi ko hai sahra ka KHayal
sath apne liye phirta hai bayaban koi
dard uThta hai mere dil mein bara-e-tazim
us taraf se kabhi aata hai jo paikan koi
aaina un ko dikha kar ye kaha main ne 'jigar'
ab na kahna ki hai kyon husn ka hairan koi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 163)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.