ab mariz-e-ishq ko kaisa Thikana chahiye
ab marīz-e-ishq ko kaisā Thikāna chāhiye
ātish-e-dil ko havā par āshiyāna chāhiye
lag ga.iiñ haiñ daav par sāñseñ bisāt-e-ishq meñ
us taraf yā is taraf tai ho hī jaanā chāhiye
ruuh ko terī zarūrat is qadar hai jān-e-jāñ
ziist ke ḳhātir zarūrī āb-o-dānā chāhiye
din Dhale hī lauT aate haiñ parinde shāḳh par
ho ga.ī ab raat tujh ko lauT aanā chāhiye
ab thakan tak jā chukī haiñ hasrateñ dīdār kī
ḳhushk āñkhoñ meñ 'suman' dariyā samānā chāhiye
ab mariz-e-ishq ko kaisa Thikana chahiye
aatish-e-dil ko hawa par aashiyana chahiye
lag gain hain daw par sansen bisat-e-ishq mein
us taraf ya is taraf tai ho hi jaana chahiye
ruh ko teri zarurat is qadar hai jaan-e-jaan
zist ke KHatir zaruri aab-o-dana chahiye
din Dhale hi lauT aate hain parinde shaKH par
ho gai ab raat tujh ko lauT aana chahiye
ab thakan tak ja chuki hain hasraten didar ki
KHushk aankhon mein 'suman' dariya samana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.