ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai
ab mohabbat na fasāna na fusūñ hai yuuñ hai
sāhab-e-dasht to kahtā thā ki yuuñ hai yuuñ hai
pas-e-girya koī detā hai tasallī tujh ko
ye jo ai dil tujhe be-vaj.h sukūñ hai yuuñ hai
'mīr'-sāhib hī nahīñ us se pare baiThte haiñ
jo bhī shā.ista-e-ādāb-e-junūñ hai yuuñ hai
zindagī-bhar meñ koī sher to aisā hotā
maiñ bhī kahtā jo mirā zaḳhm-e-darūñ hai yuuñ hai
niist meñ hast kā ehsās dilātī huī aañkh
shor kartī hai ki hai kun-fayakūñ hai yuuñ hai
ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai
sahab-e-dasht to kahta tha ki yun hai yun hai
pas-e-girya koi deta hai tasalli tujh ko
ye jo ai dil tujhe be-wajh sukun hai yun hai
'mir'-sahib hi nahin us se pare baiThte hain
jo bhi shaista-e-adab-e-junun hai yun hai
zindagi-bhar mein koi sher to aisa hota
main bhi kahta jo mera zaKHm-e-darun hai yun hai
nist mein hast ka ehsas dilati hui aankh
shor karti hai ki hai kun-fayakun hai yun hai
- Book : Ishq Abaab (Pg. 705)
- Author : Abbas Tabish
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.