ab mujhse ye raat tai na hogi
ab mujh se ye raat tai na hogī
patthar ye jabīñ na hai na hogī
ḳhurshīd na ho to shahr-e-dil meñ
parchhā.īñ sī koī shai na hogī
darvāza khaTak uThegā ik baar
dastak kabhī pai-ba-pai na hogī
āñkhoñ meñ lahū sambhāl rakhnā
ab ke miinā meñ mai na hogī
ab mujh se ye raat tai na hogi
patthar ye jabin na hai na hogi
KHurshid na ho to shahr-e-dil mein
parchhain si koi shai na hogi
darwaza khaTak uThega ek bar
dastak kabhi pai-ba-pai na hogi
aankhon mein lahu sambhaal rakhna
ab ke mina mein mai na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.