ab mujhe apna banane ke liye mat aana
ab mujhe apna banane ke liye mat aana
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
ab mujhe apnā banāne ke liye mat aanā
phir koī ḳhvāb dikhāne ke liye mat aanā
ho jo ujḌī huī duniyā kī tamanna aa jā
ḳhvāb-e-rangīn zamāne ke liye mat aanā
hasab-e-manshā maiñ banā lūñgā muqaddar apnā
tū ye taklīf uThāne ke liye mat aanā
dil meñ taaza haiñ abhī tak tire zaḳhmoñ ke kañval
gul koī aur khilāne ke liye mat aanā
tujh ko jis samt bhī jaanā hai chalā jā lekin
ham-safar mujh ko banāne ke liye mat aanā
ḳhuub jī khol ke hañsnā mirī barbādī par
mujh pe ab ashk bahāne ke liye mat aanā
vo to ḳhud apne kiye par hai pashemāñ 'nādim'
tum use aur satāne ke liye mat aanā
ab mujhe apna banane ke liye mat aana
phir koi KHwab dikhane ke liye mat aana
ho jo ujDi hui duniya ki tamanna aa ja
KHwab-e-rangin zamane ke liye mat aana
hasab-e-mansha main bana lunga muqaddar apna
tu ye taklif uThane ke liye mat aana
dil mein taza hain abhi tak tere zaKHmon ke kanwal
gul koi aur khilane ke liye mat aana
tujh ko jis samt bhi jaana hai chala ja lekin
ham-safar mujh ko banane ke liye mat aana
KHub ji khol ke hansna meri barbaadi par
mujh pe ab ashk bahane ke liye mat aana
wo to KHud apne kiye par hai pasheman 'nadim'
tum use aur satane ke liye mat aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.