ab mujhe ranj kyon na ho is dil-e-sogwar se
ab mujhe ranj kyoñ na ho is dil-e-sogvār se
vo jo taḌap taḌap ga.e nāla-e-be-qarār se
kaun ye jān-e-rang-o-bū ruuTh gayā bahār se
ġhunche bhī haiñ udaas se gul bhī haiñ sogvār se
bhīgī huī fazā meñ hai abr bhī hai havā bhī hai
aise meñ chheḌ mohtasib kufr hai bāda-ḳhvār se
sub.h-e-azal se tā-abad daur-e-firāq al-amāñ
ai ki Tapak paḌe na dil dīda-e-intizār se
fard-e-amal siyāh ho dil to hasīñ hai vā.izā
aaj bhī mutma.in hai 'rāz' rahmat-e-kirdgār se
ab mujhe ranj kyon na ho is dil-e-sogwar se
wo jo taDap taDap gae nala-e-be-qarar se
kaun ye jaan-e-rang-o-bu ruTh gaya bahaar se
ghunche bhi hain udas se gul bhi hain sogwar se
bhigi hui faza mein hai abr bhi hai hawa bhi hai
aise mein chheD mohtasib kufr hai baada-KHwar se
subh-e-azal se ta-abad daur-e-firaq al-aman
ai ki Tapak paDe na dil dida-e-intizar se
fard-e-amal siyah ho dil to hasin hai waiza
aaj bhi mutmain hai 'raaz' rahmat-e-kirdgar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.