ab na de ilzam bedardi ka makkari na kar
ab na de ilzām bedardī kā makkārī na kar
tū hī ḳhud ko jāñch le mujh se adākārī na kar
terī āñkhoñ se na bah nikle kahīñ merā lahū
vaar karnā hai tujhe to is qadar kaarī na kar
māntā huuñ maiñ ne tere zabt ko chheḌā magar
raah meñ yuuñ dekh kar izhār-e-be-zārī na kar
vaz.a-dārī se akele umr kaTtī hai kahīñ
apne hāthoñ zindagī ko is qadar bhārī na kar
rāsta chal dekh kar ye ḳhanjaroñ kā shahr hai
mujh se chāhe kuchh bhī kar le ḳhud se ġhaddārī na kar
ab na de ilzam bedardi ka makkari na kar
tu hi KHud ko jaanch le mujh se adakari na kar
teri aankhon se na bah nikle kahin mera lahu
war karna hai tujhe to is qadar kari na kar
manta hun main ne tere zabt ko chheDa magar
rah mein yun dekh kar izhaar-e-be-zari na kar
waza-dari se akele umr kaTti hai kahin
apne hathon zindagi ko is qadar bhaari na kar
rasta chal dekh kar ye KHanjaron ka shahr hai
mujh se chahe kuchh bhi kar le KHud se ghaddari na kar
- Book : Be Sada Faryaad (Ghazals) (Pg. 70)
- Author : Iqbal Ashhar Qureshi
- Publication : Fine Art Group Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.