ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju
ab na kiije ḳhvāhish-e-barg-o-samar kī justujū
chhoḌiye kashtī banāne ke hunar kī justujū
umr-e-rafta jā kisī dīvār ke saa.e meñ baiTh
be-sabab kī ḳhvāhisheñ haiñ aur ghar kī justujū
be-gharī ke daur-e-pur-āshob meñ bhī jaane kyoñ
hai sabhī ke dil meñ bas dīvār-o-dar kī justujū
qurbatoñ ke saath jiine kā hunar aaya na phir
ab kahāñ mujh ko kisī bhī ham-safar kī justujū
ek lamhe ko bhī hāsil hai sukūn-e-dil kahāñ
phir bhī dil ko hai mire shāḳh-e-shajar kī justujū
ab shikasta ḳhvāb palkoñ par nahīñ aate mirī
mujh ko bhī 'rizvāñ' nahīñ ab chashm-e-tar kī justujū
ab na kije KHwahish-e-barg-o-samar ki justuju
chhoDiye kashti banane ke hunar ki justuju
umr-e-rafta ja kisi diwar ke sae mein baiTh
be-sabab ki KHwahishen hain aur ghar ki justuju
be-ghari ke daur-e-pur-ashob mein bhi jaane kyon
hai sabhi ke dil mein bas diwar-o-dar ki justuju
qurbaton ke sath jine ka hunar aaya na phir
ab kahan mujh ko kisi bhi ham-safar ki justuju
ek lamhe ko bhi hasil hai sukun-e-dil kahan
phir bhi dil ko hai mere shaKH-e-shajar ki justuju
ab shikasta KHwab palkon par nahin aate meri
mujh ko bhi 'rizwan' nahin ab chashm-e-tar ki justuju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.