ab na wo ishq na kuchh uski KHabar baqi hai
ab na vo ishq na kuchh us kī ḳhabar baaqī hai
hai safar ḳhatm ik āshob-e-safar baaqī hai
koī aayā na gayā barsoñ se in rāhoñ meñ
ma.arka kaisā sar-e-rāhguzar baaqī hai
jalne paatā nahīñ koī diyā koī jugnū
tāq-e-dil meñ ga.ī āñdhī kā asar baaqī hai
ab bhī kahlātā hai vo shaḳhs to mahbūb-e-nazar
dil dukhāne kā abhī us meñ hunar baaqī hai
āḳhirī sham.a to lo bujh ga.ī jal kar yaaro
is dhueñ meñ magar imkān-e-sahar baaqī hai
sab marāhil se guzar bhī liye kab ke ham 'aah'
habs-e-tanhā.ī meñ mar jaane kā Dar baaqī hai
ab na wo ishq na kuchh us ki KHabar baqi hai
hai safar KHatm ek aashob-e-safar baqi hai
koi aaya na gaya barson se in rahon mein
marka kaisa sar-e-rahguzar baqi hai
jalne pata nahin koi diya koi jugnu
taq-e-dil mein gai aandhi ka asar baqi hai
ab bhi kahlata hai wo shaKHs to mahbub-e-nazar
dil dukhane ka abhi us mein hunar baqi hai
aaKHiri shama to lo bujh gai jal kar yaro
is dhuen mein magar imkan-e-sahar baqi hai
sab marahil se guzar bhi liye kab ke hum 'ah'
habs-e-tanhai mein mar jaane ka Dar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.