ab nahin koi mere dil ko dukhane wala
ab nahīñ koī mire dil ko dukhāne vaalā
yaad aatā hai bahut ruuTh ke jaane vaalā
gardish-e-vaqt miTā mujh ko magar yaad rahe
phir nahīñ koī tirā naaz uThāne vaalā
jab bhī aa.egī mirī yaad taḌap jā.egā
apnī mahfil ko mire baa'd sajāne vaalā
jis kī ḳhātir liye ilzām jahāñ ke maiñ ne
ye vahī shaḳhs hai muñh pher ke jaane vaalā
koī muḳhlis na milā aisā jahāñ meñ 'dānish'
merī barbādī pe do ashk bahāne vaalā
ab nahin koi mere dil ko dukhane wala
yaad aata hai bahut ruTh ke jaane wala
gardish-e-waqt miTa mujh ko magar yaad rahe
phir nahin koi tera naz uThane wala
jab bhi aaegi meri yaad taDap jaega
apni mahfil ko mere ba'd sajaane wala
jis ki KHatir liye ilzam jahan ke main ne
ye wahi shaKHs hai munh pher ke jaane wala
koi muKHlis na mila aisa jahan mein 'danish'
meri barbaadi pe do ashk bahane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.