ab nahin sine mein mere ja-e-dagh
ab nahīñ siine meñ mere jā-e-dāġh
soz-e-dil se daaġh hai bālā-e-dāġh
dil jalā āñkheñ jalīñ jī jal gayā
ishq ne kyā kyā hameñ dikhlā.e daaġh
dil jigar jal kar hue haiñ donoñ ek
darmiyāñ aayā hai jab se pā-e-dāġh
munfa.il haiñ laala o sham.a o charāġh
ham ne bhī kyā āshiqī meñ khaa.e daaġh
vo nahīñ ab 'mīr' jo chhātī jale
khā gayā saare jigar ko haa.e daaġh
ab nahin sine mein mere ja-e-dagh
soz-e-dil se dagh hai baala-e-dagh
dil jala aankhen jalin ji jal gaya
ishq ne kya kya hamein dikhlae dagh
dil jigar jal kar hue hain donon ek
darmiyan aaya hai jab se pa-e-dagh
munfail hain lala o shama o charagh
hum ne bhi kya aashiqi mein khae dagh
wo nahin ab 'mir' jo chhati jale
kha gaya sare jigar ko hae dagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.