ab parindon mein Dar hai KHun nahin
ab parindoñ meñ Dar hai ḳhuun nahīñ
ai ḳhudā rahm shubh shugūn nahīñ
ham patañgoñ kā apnā ronā hai
raushnī hai magar sukūn nahīñ
saañs kyā maut hī nahīñ jin ko
ḳhuun hī kyā jise junūn nahīñ
barf jamne lagī lihāfoñ par
aur mayassar hameñ vo june nahīñ
ham taḳhayyul kī fāqa-kash bheḌeñ
maas zinda bachā hai uun nahīñ
aadmī karb ke khilaune haiñ
ye hañsī vaale cartōn nahīñ
is meñ ḳhatre kī koī baat nahīñ
āsmāñ ke agar sutūn nahīñ
ab parindon mein Dar hai KHun nahin
ai KHuda rahm shubh shugun nahin
hum patangon ka apna rona hai
raushni hai magar sukun nahin
sans kya maut hi nahin jin ko
KHun hi kya jise junun nahin
barf jamne lagi lihafon par
aur mayassar hamein wo june nahin
hum taKHayyul ki faqa-kash bheDen
mas zinda bacha hai un nahin
aadmi karb ke khilaune hain
ye hansi wale cartoon nahin
is mein KHatre ki koi baat nahin
aasman ke agar sutun nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.