ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
ab shauq se ki jaañ se guzar jaanā chāhiye
bol ai havā-e-shahr kidhar jaanā chāhiye
kab tak isī ko āḳhirī manzil kaheñge ham
kū-e-murād se bhī udhar jaanā chāhiye
vo vaqt aa gayā hai ki sāhil ko chhoḌ kar
gahre samundaroñ meñ utar jaanā chāhiye
ab raftagāñ kī baat nahīñ kārvāñ kī hai
jis samt bhī ho gard-e-safar jaanā chāhiye
kuchh to subūt-e-ḳhūn-e-tamannā kahīñ mile
hai dil tahī to aañkh ko bhar jaanā chāhiye
yā apnī ḳhvāhishoñ ko muqaddas na jānte
yā ḳhvāhishoñ ke saath hī mar jaanā chāhiye
ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
bol ai hawa-e-shahr kidhar jaana chahiye
kab tak isi ko aaKHiri manzil kahenge hum
ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye
wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhoD kar
gahre samundaron mein utar jaana chahiye
ab raftagan ki baat nahin karwan ki hai
jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye
kuchh to subut-e-KHun-e-tamanna kahin mile
hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye
ya apni KHwahishon ko muqaddas na jaante
ya KHwahishon ke sath hi mar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.