ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae
ab sochiye to dām-e-tamannā meñ aa ga.e
dīvār o dar ko chhoḌ ke sahrā meñ aa ga.e
tasvīr the jo avvalīñ sarshāriyoñ meñ log
vo zaḳhm ban ke chashm-e-tamannā meñ aa ga.e
un se bhī pūchhiye kabhī apnī zamīñ kā karb
jo sāhiloñ ko chhoḌ ke dariyā meñ aa ga.e
vahshat ne yuuñ to ḳhuub diyā har qadam pe saath
lekin tire fareb-e-dil-ārā meñ aa ga.e
is anjuman meñ anjum o zohra bhī the magar
ham shab-guzīda sehr-e-surayyā meñ aa ga.e
ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae
diwar o dar ko chhoD ke sahra mein aa gae
taswir the jo awwalin sarshaariyon mein log
wo zaKHm ban ke chashm-e-tamanna mein aa gae
un se bhi puchhiye kabhi apni zamin ka karb
jo sahilon ko chhoD ke dariya mein aa gae
wahshat ne yun to KHub diya har qadam pe sath
lekin tere fareb-e-dil-ara mein aa gae
is anjuman mein anjum o zohra bhi the magar
hum shab-guzida sehr-e-surayya mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.