ab tabiat kahan rawani mein
ab tabī.at kahāñ ravānī meñ
kashtī TuuTī hai Thahre paanī meñ
vaqt yuuñ tham gayā hai āñkhoñ meñ
dā.ere jam ga.e hoñ paanī meñ
ghar hī andar se luT gayā saarā
ham to bāhar the pāsbānī meñ
lutf mausam kā kyā uThāte ham
dil hamesha rahā girānī meñ
ham to ḳhush-fahmiyoñ meñ jiite haiñ
ḳhuub matlab hai be-zabānī meñ
ab tabiat kahan rawani mein
kashti TuTi hai Thahre pani mein
waqt yun tham gaya hai aankhon mein
daere jam gae hon pani mein
ghar hi andar se luT gaya sara
hum to bahar the pasbani mein
lutf mausam ka kya uThate hum
dil hamesha raha girani mein
hum to KHush-fahmiyon mein jite hain
KHub matlab hai be-zabani mein
- Book : Simati Dhoop (Pg. 62)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.