ab tak mujhe na koi mera raaz-dan mila
ab tak mujhe na koī mirā rāz-dāñ milā
jo bhī milā asīr-e-zamān-o-makāñ milā
kyā jaane kyā samajh ke hamesha kiyā gurez
sau baar bijliyoñ ko mirā āshiyāñ milā
uktā gayā huuñ jāda-e-nau kī talāsh se
har raah meñ koī na koī kārvāñ milā
muddat meñ ham ne aap banāyā thā ik ufuq
jaate the us taraf ki tirā āstāñ milā
kin hausloñ ke kitne diye bujh ke rah ga.e
ai soz-e-āshiqī tū bahut hī garāñ milā
kyā kuchh luTā diyā hai tirī har adā ke saath
kyā mil gayā hameñ jo ye husn-e-bayāñ milā
thā ek rāz-dār-e-mohabbat se lutf-e-zīst
lekin vo rāz-dār-e-mohabbat kahāñ milā
ik umr ba.ad isī mutalavvin nigāh meñ
kitnī mohabbatoñ kā ḳhazāna nihāñ milā
ab justujū kā ruḳh jo muḌā hai to mat pukār
sab tujh ko DhūñDte the magar tū kahāñ milā
ab tak mujhe na koi mera raaz-dan mila
jo bhi mila asir-e-zaman-o-makan mila
kya jaane kya samajh ke hamesha kiya gurez
sau bar bijliyon ko mera aashiyan mila
ukta gaya hun jada-e-nau ki talash se
har rah mein koi na koi karwan mila
muddat mein hum ne aap banaya tha ek ufuq
jate the us taraf ki tera aastan mila
kin hauslon ke kitne diye bujh ke rah gae
ai soz-e-ashiqi tu bahut hi garan mila
kya kuchh luTa diya hai teri har ada ke sath
kya mil gaya hamein jo ye husn-e-bayan mila
tha ek raaz-dar-e-mohabbat se lutf-e-zist
lekin wo raaz-dar-e-mohabbat kahan mila
ek umr baad isi mutalawwin nigah mein
kitni mohabbaton ka KHazana nihan mila
ab justuju ka ruKH jo muDa hai to mat pukar
sab tujh ko DhunDte the magar tu kahan mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.