ab tak to yahi pata nahin hai
ab tak to yahī patā nahīñ hai
is shahr meñ kyā hai kyā nahīñ hai
patte ko na is tarah se dekho
Tahnī se abhī girā nahīñ hai
chup-chāp khaḌā huā huuñ kab se
ehsās to hai sadā nahīñ hai
ik lamhe meñ maiñ bhī tū bhī dukh bhī
zālim koī vaqt sā nahīñ hai
jo aks hai aa.ine meñ merā
us se koī vāsta nahīñ hai
us raah pe chal rahā huuñ kab se
jis raah meñ naqsh-e-pā nahīñ hai
har tan pe jo 'ashk' Thiik baiThe
vo coat abhī silā nahīñ hai
ab tak to yahi pata nahin hai
is shahr mein kya hai kya nahin hai
patte ko na is tarah se dekho
Tahni se abhi gira nahin hai
chup-chap khaDa hua hun kab se
ehsas to hai sada nahin hai
ek lamhe mein main bhi tu bhi dukh bhi
zalim koi waqt sa nahin hai
jo aks hai aaine mein mera
us se koi wasta nahin hai
us rah pe chal raha hun kab se
jis rah mein naqsh-e-pa nahin hai
har tan pe jo 'ashk' Thik baiThe
wo coat abhi sila nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.