ab tere gham ke andheron mein utar jaunga
ab tere gham ke andheron mein utar jaunga
Dilnawaz Khan Dilnawaz
MORE BYDilnawaz Khan Dilnawaz
ab tire ġham ke añdheroñ meñ utar jā.ūñgā
ḳhud hī ban ke maiñ vahāñ shams-o-qamar jā.ūñgā
ik nazar pyaar se dekho to navāzish hogī
phir na ā.ūñgā kabhī aise nagar jā.ūñgā
phir se be-sāḳhta hichkī jo mujhe aa.egī
naam terā hī sadā lūñgā jidhar jā.ūñgā
mil ga.ī tere ḳhayāloñ se tajallī dil ko
talḳh rāhoñ pe bhī be-ḳhauf-o-ḳhatar jā.ūñgā
har Dagar TeḌhī hai tirchhī hai zamāna be-dil
zid hai mujh ko ki tujhe DhūñD ke ghar jā.ūñgā
merī hastī nahīñ aḳhbār ki har koī paḌhe
maiñ risāla huuñ sar-e-ahl-e-nazar jā.ūñgā
'dil-navāz' aaj talak kyoñ mujhe manzil na milī
kyā yuuñ hī 'umr kī rāhoñ se guzar jā.ūñgā
ab tere gham ke andheron mein utar jaunga
KHud hi ban ke main wahan shams-o-qamar jaunga
ek nazar pyar se dekho to nawazish hogi
phir na aaunga kabhi aise nagar jaunga
phir se be-saKHta hichki jo mujhe aaegi
nam tera hi sada lunga jidhar jaunga
mil gai tere KHayalon se tajalli dil ko
talKH rahon pe bhi be-KHauf-o-KHatar jaunga
har Dagar TeDhi hai tirchhi hai zamana be-dil
zid hai mujh ko ki tujhe DhunD ke ghar jaunga
meri hasti nahin aKHbar ki har koi paDhe
main risala hun sar-e-ahl-e-nazar jaunga
'dil-nawaz' aaj talak kyon mujhe manzil na mili
kya yun hi 'umr ki rahon se guzar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.