ab tere shahr se chup-chap guzarna hoga
ab tire shahr se chup-chāp guzarnā hogā
zinda hote hue har moḌ pe marnā hogā
mere hālāt agar koī samajhnā chāhe
us ko ik baar mire dil meñ utarnā hogā
naqsh maazī ke miTā kar sabhī dil se apne
dard-o-ġham se hameñ ik baar ubharnā hogā
ham ne sachchā.ī kī har baar himāyat kī hai
ham ko is bhuul kā ḳhamyāza to bharnā hogā
aa.ina jaan ke dekhūñgī tirī āñkhoñ ko
jab kabhī tere liye mujh ko sañvarnā hogā
is mohabbat ko na lag jaa.e kahīñ koī nazar
ham ko duniyā kī nigāhoñ se bhī Darnā hogā
dekhnā hai hameñ ik va.ada-farāmosh 'siyā'
shaam tak dhuup ke sahrā meñ Thaharnā hogā
ab tere shahr se chup-chap guzarna hoga
zinda hote hue har moD pe marna hoga
mere haalat agar koi samajhna chahe
us ko ek bar mere dil mein utarna hoga
naqsh mazi ke miTa kar sabhi dil se apne
dard-o-gham se hamein ek bar ubharna hoga
hum ne sachchai ki har bar himayat ki hai
hum ko is bhul ka KHamyaza to bharna hoga
aaina jaan ke dekhungi teri aankhon ko
jab kabhi tere liye mujh ko sanwarna hoga
is mohabbat ko na lag jae kahin koi nazar
hum ko duniya ki nigahon se bhi Darna hoga
dekhna hai hamein ek wada-faramosh 'siya'
sham tak dhup ke sahra mein Thaharna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.