ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se
ab to aa jā mirī palkeñ haiñ ye pyāsī kab se
farsh-e-rah baiThī hai aa dekh udāsī kab se
mujh ko bhī achchhā nahīñ lagtā sañvarnā lekin
tark tū ne kiyā ye zauq-e-libāsī kab se
ghar meñ rishtoñ kī kaḌī TuuT ga.ī ho jaise
ghar meñ rahne lagī ik baat zarā sī kab se
bāñTtā phirtā hai dar dar tū mohabbat sab ko
ghar meñ baiThī hai idhar dekh piyāsī kab se
dil lubhātī rahī ik umr ye duniyā lekin
muntazir phuul rahe ghar meñ ye baasī kab se
yaad aatī hī nahīñ tujh ko mujhe hairat hai
muntazir hai kisī dahlīz pe maañ sī kab se
baal phailā.e hue phirtī hai nafrat haa.e
ho chukī 'fahmī' mohabbat kī ḳhalāsī kab se
ab to aa ja meri palken hain ye pyasi kab se
farsh-e-rah baiThi hai aa dekh udasi kab se
mujh ko bhi achchha nahin lagta sanwarna lekin
tark tu ne kiya ye zauq-e-libasi kab se
ghar mein rishton ki kaDi TuT gai ho jaise
ghar mein rahne lagi ek baat zara si kab se
banTta phirta hai dar dar tu mohabbat sab ko
ghar mein baiThi hai idhar dekh piyasi kab se
dil lubhati rahi ek umr ye duniya lekin
muntazir phul rahe ghar mein ye basi kab se
yaad aati hi nahin tujh ko mujhe hairat hai
muntazir hai kisi dahliz pe man si kab se
baal phailae hue phirti hai nafrat hae
ho chuki 'fahmi' mohabbat ki KHalasi kab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.