ab to charagh-e-fikr jalata nahin koi
ab to charāġh-e-fikr jalātā nahīñ koī
soz-e-yaqīñ kī bazm sajātā nahīñ koī
pathrāv ho rahā hai hamāre makān par
kyā jurm ho gayā hai batātā nahīñ koī
apne paḌosiyoñ kī hifāzat ke vāste
rātoñ kī mīThī niiñd gañvātā nahīñ koī
ġham to kahāniyoñ kī tarah sab ne sun liyā
lekin koī 'ilāj batātā nahīñ koī
jab se tirī galī kā patā mil gayā hameñ
shahr-e-havas kī samt bulātā nahīñ koī
ābādiyoñ meñ ghar kā banānā to sahl hai
vīrān bastiyoñ ko basātā nahīñ koī
ab to charagh-e-fikr jalata nahin koi
soz-e-yaqin ki bazm sajata nahin koi
pathraw ho raha hai hamare makan par
kya jurm ho gaya hai batata nahin koi
apne paDosiyon ki hifazat ke waste
raaton ki miThi nind ganwata nahin koi
gham to kahaniyon ki tarah sab ne sun liya
lekin koi 'ilaj batata nahin koi
jab se teri gali ka pata mil gaya hamein
shahr-e-hawas ki samt bulata nahin koi
aabaadiyon mein ghar ka banana to sahl hai
viran bastiyon ko basata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.