ab to ek umr hui yaad na kar lun KHud ko
ab to ik umr huī yaad na kar luuñ ḳhud ko
huuñ kahīñ zehn meñ ījād na kar luuñ ḳhud ko
vo ḳharāba ki jahāñ koī na ho mere sivā
us ḳharābe meñ hī ābād na kar luuñ ḳhud ko
jaane kis lamha-e-pur-dard kī yaad aa.ī hai
rote rote yūñhī barbād na kar luuñ ḳhud ko
vahī tanhā.ī kā aalam vahī sayyād kā ḳhauf
apnā zindāñ huuñ to āzād na kar luuñ ḳhud ko
hashr ke ba.ad bhī rahnā hai zamīñ par mujh ko
maiñ jahāñ-zād zamīñ-zād na kar luuñ ḳhud ko
ye jo khīñche liye jaatā hai bayābāñ kī taraf
dil ko ḳhadsha hai ki ābād na kar luuñ ḳhud ko
mil hī jā.ūñgā ga.e vaqt meñ ik din 'shāriq'
lauh-e-imkān pe īzād na kar luuñ ḳhud ko
ab to ek umr hui yaad na kar lun KHud ko
hun kahin zehn mein ijad na kar lun KHud ko
wo KHaraba ki jahan koi na ho mere siwa
us KHarabe mein hi aabaad na kar lun KHud ko
jaane kis lamha-e-pur-dard ki yaad aai hai
rote rote yunhi barbaad na kar lun KHud ko
wahi tanhai ka aalam wahi sayyaad ka KHauf
apna zindan hun to aazad na kar lun KHud ko
hashr ke baad bhi rahna hai zamin par mujh ko
main jahan-zad zamin-zad na kar lun KHud ko
ye jo khinche liye jata hai bayaban ki taraf
dil ko KHadsha hai ki aabaad na kar lun KHud ko
mil hi jaunga gae waqt mein ek din 'shaariq'
lauh-e-imkan pe izad na kar lun KHud ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.