ab to is bazm mein yun nesh-zani hoti hai
ab to is bazm meñ yuuñ nesh-zanī hotī hai
parda-e-lutf meñ ḳhātir-shikanī hotī hai
dil ko de jaatā hai chupke se tasallī koī
jab mirī shaam ġharīb-ul-vatanī hotī hai
aadmī ke liye āsān hai ālam-shikanī
saḳht dushvār magar ḳhud-shikanī hotī hai
kis tarah kījiye ab un se taġhāful kā gila
lab hilāte haiñ to ḳhātir-shikanī hotī hai
sāmne aa ke zarā ham se milāo nazreñ
kahīñ parde se bhī nāvak-faganī hotī hai
jin pe guzrī hai vahī us ko samajh sakte haiñ
dil-dahī se bhī kabhī dil-shikanī hotī hai
shām-e-ġham aatī hai ik aisī ghaḌī bhī 'shāriq'
aap ḳhud apne pe jab ḳhanda-zanī hotī hai
ab to is bazm mein yun nesh-zani hoti hai
parda-e-lutf mein KHatir-shikani hoti hai
dil ko de jata hai chupke se tasalli koi
jab meri sham gharib-ul-watani hoti hai
aadmi ke liye aasan hai aalam-shikani
saKHt dushwar magar KHud-shikani hoti hai
kis tarah kijiye ab un se taghaful ka gila
lab hilate hain to KHatir-shikani hoti hai
samne aa ke zara hum se milao nazren
kahin parde se bhi nawak-fagani hoti hai
jin pe guzri hai wahi us ko samajh sakte hain
dil-dahi se bhi kabhi dil-shikani hoti hai
sham-e-gham aati hai ek aisi ghaDi bhi 'shaariq'
aap KHud apne pe jab KHanda-zani hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.