ab to jugnu bhi nahin rah dikhane wala
ab to jugnū bhī nahīñ raah dikhāne vaalā
shahr meñ qaid huā gaañv se aane vaalā
phir vahī arz mirī haqq-o-sadāqat vaalī
phir vahī uzr tirā hiila bahāne vaalā
farsh-e-gul jaan ke ḳhāroñ pe qadam rakhtā huuñ
kaun hai mere liye palkeñ bichhāne vaalā
tum dikhāte phiro apnā gul-o-gulzār badan
koī marham nahīñ zaḳhmoñ pe lagāne vaalā
mustaqil dard kā darmāñ ho vo tadbīr sujhā
aarzī hal na batā kaam chalāne vaalā
sāf-goī hai mirā aib ye maanā lekin
pahle zaḳhmoñ ko gine aib gināne vaalā
mo.ajiza ḳhuub huā jang bhī ham jiit ga.e
khel khelā bhī nahīñ terā nishāne vaalā
chāhtā huuñ ki 'zafar' ghol ke pī jā.ūñ use
vo jo nusḳha hai sar āñkhoñ se lagāne vaalā
ab to jugnu bhi nahin rah dikhane wala
shahr mein qaid hua ganw se aane wala
phir wahi arz meri haqq-o-sadaqat wali
phir wahi uzr tera hila bahane wala
farsh-e-gul jaan ke KHaron pe qadam rakhta hun
kaun hai mere liye palken bichhane wala
tum dikhate phiro apna gul-o-gulzar badan
koi marham nahin zaKHmon pe lagane wala
mustaqil dard ka darman ho wo tadbir sujha
aarzi hal na bata kaam chalane wala
saf-goi hai mera aib ye mana lekin
pahle zaKHmon ko gine aib ginane wala
moajiza KHub hua jang bhi hum jit gae
khel khela bhi nahin tera nishane wala
chahta hun ki 'zafar' ghol ke pi jaun use
wo jo nusKHa hai sar aankhon se lagane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.