ab to uTh sakta nahin aankhon se bar-e-intizar
ab to uTh saktā nahīñ āñkhoñ se bār-e-intizār
kis tarah kaaTe koī lail-o-nahār-e-intizār
un kī ulfat kā yaqīñ ho un ke aane kī umiid
hoñ ye donoñ sūrateñ to hai bahār-e-intizār
jān-o-dil kā haal kyā kahiye firāq-e-yār meñ
jaan majrūh-e-alam hai dil figār-e-intizār
merī aaheñ nā-rasā merī duā.eñ nā-qubūl
yā-ilāhī kyā karūñ maiñ sharmsār-e-intizār
un ke ḳhat kī aarzū hai un kī aamad kā ḳhayāl
kis qadar phailā huā hai kār-o-bār-e-intizār
hai dil-e-masrūr-e-'hasrat' ik tarab-zār-e-umīd
phūñk Daale gar na is gulshan ko nār-e-intizār
ab to uTh sakta nahin aankhon se bar-e-intizar
kis tarah kaTe koi lail-o-nahaar-e-intizar
un ki ulfat ka yaqin ho un ke aane ki umid
hon ye donon suraten to hai bahaar-e-intizar
jaan-o-dil ka haal kya kahiye firaq-e-yar mein
jaan majruh-e-alam hai dil figar-e-intizar
meri aahen na-rasa meri duaen na-qubul
ya-ilahi kya karun main sharmsar-e-intizar
un ke KHat ki aarzu hai un ki aamad ka KHayal
kis qadar phaila hua hai kar-o-bar-e-intizar
hai dil-e-masrur-e-'hasrat' ek tarab-zar-e-umid
phunk Dale gar na is gulshan ko nar-e-intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.