ab tu ne gul na gulsitan hai yaad
ab tū ne gul na gulsitāñ hai yaad
usī mukhḌe kī har zamāñ hai yaad
ham-nashīñ kah le qissa-e-majnūñ
ham ko bhī dil kī dāstāñ hai yaad
ġhuncha kaaTe thā jis ko dekh ke lab
kyuuñ sabā tujh ko vo vahāñ hai yaad
mustaqil murġh-e-dil jo taḌpe hai
kis kī siine meñ par-fishāñ hai yaad
sabaq-e-girya ashk ko kyā duuñ
aap hī is tifl ko ravāñ hai yaad
gul se kyā muḳhtalit huuñ ai bulbul
mujh ko vo āfat-e-ḳhizāñ hai yaad
aah ai charḳh-e-pīr, 'qā.em' naam
yaañ jo rahtā thā ik javāñ hai yaad
ab tu ne gul na gulsitan hai yaad
usi mukhDe ki har zaman hai yaad
ham-nashin kah le qissa-e-majnun
hum ko bhi dil ki dastan hai yaad
ghuncha kaTe tha jis ko dekh ke lab
kyun saba tujh ko wo wahan hai yaad
mustaqil murgh-e-dil jo taDpe hai
kis ki sine mein par-fishan hai yaad
sabaq-e-girya ashk ko kya dun
aap hi is tifl ko rawan hai yaad
gul se kya muKHtalit hun ai bulbul
mujh ko wo aafat-e-KHizan hai yaad
aah ai charKH-e-pir, 'qaem' nam
yan jo rahta tha ek jawan hai yaad
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.