ab wo gali ja-e-KHatar ho gai
ab vo galī jā-e-ḳhatar ho ga.ī
haal se logoñ ko ḳhabar ho ga.ī
vasl kī shab kyā kahūñ kyuuñ kar kaTī
baat na kī thī ki sahar ho ga.ī
dekheñge ai zabt ye da.ave tire
raat judā.ī kī agar ho ga.ī
hazrat-e-nāseh ne kahī baat jo
ham-asar-e-dard-e-jigar ho ga.ī
maiñ na huā ġhair hue mustafīz
terī nazar thī vo jidhar ho ga.ī
yaad kisī kī mujhe phir in dinoñ
josh-zan-e-dīda-e-tar ho ga.ī
kis kī ham-āġhoshī kā thā azm jo
zulf tirī tauq-e-kamar ho ga.ī
ab wo gali ja-e-KHatar ho gai
haal se logon ko KHabar ho gai
wasl ki shab kya kahun kyun kar kaTi
baat na ki thi ki sahar ho gai
dekhenge ai zabt ye dawe tere
raat judai ki agar ho gai
hazrat-e-naseh ne kahi baat jo
ham-asar-e-dard-e-jigar ho gai
main na hua ghair hue mustafiz
teri nazar thi wo jidhar ho gai
yaad kisi ki mujhe phir in dinon
josh-zan-e-dida-e-tar ho gai
kis ki ham-aghoshi ka tha azm jo
zulf teri tauq-e-kamar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.