ab wo humse mila nahin karte
ab vo ham se milā nahīñ karte
ham bhī koī gila nahīñ karte
zaḳhm-e-dil bharte bharte bharte haiñ
itnī jaldī bharā nahīñ karte
log vo shāḳh kaaT dete haiñ
phuul jis par khilā nahīñ karte
mat bujhāo diye umīdoñ ke
ye diye phir jalā nahīñ karte
ek muddat se vo nahīñ aa.e
ham bhī ab hausla nahīñ karte
aag bujhtī hai dil kī rone se
daaġh dil ke dhulā nahīñ karte
jag meñ un kā bhalā nahīñ hotā
jo kisī kā bhalā nahīñ karte
chaal duniyā ko jo nahīñ bhātī
chaal aisī chalā nahīñ karte
rafta rafta bahār aatī hai
phuul yak dam khilā nahīñ karte
haañ sahar ho to Duub jaate haiñ
shab ko taare Dhalā nahīñ karte
'soz' ham nā-sipās logoñ par
rāz-e-hastī khulā nahīñ karte
ab wo hum se mila nahin karte
hum bhi koi gila nahin karte
zaKHm-e-dil bharte bharte bharte hain
itni jaldi bhara nahin karte
log wo shaKH kaT dete hain
phul jis par khila nahin karte
mat bujhao diye umidon ke
ye diye phir jala nahin karte
ek muddat se wo nahin aae
hum bhi ab hausla nahin karte
aag bujhti hai dil ki rone se
dagh dil ke dhula nahin karte
jag mein un ka bhala nahin hota
jo kisi ka bhala nahin karte
chaal duniya ko jo nahin bhati
chaal aisi chala nahin karte
rafta rafta bahaar aati hai
phul yak dam khila nahin karte
han sahar ho to Dub jate hain
shab ko tare Dhala nahin karte
'soz' hum na-sipas logon par
raaz-e-hasti khula nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.