ab wo pahla sa iltifat kahan
ab vo pahlā sā iltifāt kahāñ
aap sunte haiñ merī baat kahāñ
merī dīvāngī kā zikr chhiḌā
aaj pahuñchegī jaane baat kahāñ
diip kyā dil jalā.e baiThe haiñ
phir bhī vo raunaq-e-hayāt kahāñ
zindagī ban ga.ī hai afsāna
mujh ko le aa.e vāqi.āt kahāñ
ye batā.ūñ to baat jā.egī
luT ga.ī dil kī kā.enāt kahāñ
ye zamāna bhī jāntā hogā
ham ko le aa.e hādsāt kahāñ
un kī nazreñ badal ga.iiñ 'iqbāl'
raas aa.egī ab hayāt kahāñ
ab wo pahla sa iltifat kahan
aap sunte hain meri baat kahan
meri diwangi ka zikr chhiDa
aaj pahunchegi jaane baat kahan
dip kya dil jalae baiThe hain
phir bhi wo raunaq-e-hayat kahan
zindagi ban gai hai afsana
mujh ko le aae waqiat kahan
ye bataun to baat jaegi
luT gai dil ki kaenat kahan
ye zamana bhi jaanta hoga
hum ko le aae hadsat kahan
un ki nazren badal gain 'iqbaal'
ras aaegi ab hayat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.