ab wo pahla sa silsila bhi nahin
ab vo pahlā sā silsila bhī nahīñ
aañkh meñ koī rat-jagā bhī nahīñ
hijr kī ik kasak to hai lekin
maiñ mohabbat kī shā.era bhī nahīñ
ye ibādat nahīñ mohabbat hai
aap insān haiñ ḳhudā bhī nahīñ
dard-e-dil kī davā kā zikr hī kyā
ab laboñ par koī duā bhī nahīñ
koī ehsās kaise jāgegā
aap ke ghar meñ aa.ina bhī nahīñ
aap ko pūjtī rahūñ tā-umr
aap kuchh aise devtā bhī nahīñ
ab wo pahla sa silsila bhi nahin
aankh mein koi rat-jaga bhi nahin
hijr ki ek kasak to hai lekin
main mohabbat ki shaera bhi nahin
ye ibaadat nahin mohabbat hai
aap insan hain KHuda bhi nahin
dard-e-dil ki dawa ka zikr hi kya
ab labon par koi dua bhi nahin
koi ehsas kaise jagega
aap ke ghar mein aaina bhi nahin
aap ko pujti rahun ta-umr
aap kuchh aise dewta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.