ab yahi ranj-e-be-dili mujhko miTae ya banae
ab yahī ranj-e-be-dilī mujh ko miTā.e yā banā.e
laakh vo mehrbāñ sahī us kī taraf bhī kaun jaa.e
rūThe hue vujūd bhī dard-e-anā se kam nahīñ
kyuuñ maiñ kisī ke naaz uThā.ūñ mujh ko bhī koī kyuuñ manā.e
sāya-e-qurb meñ mileñ aa vahī donoñ vaqt phir
hoñT pe sub.h jagmagā.e aañkh meñ shaam muskurā.e
din ko dayār-e-dīd meñ vus.at-e-lams se gurez
shab ko hisār-e-chashm meñ ḳhud hī misl-e-ḳhvāb aa.e
ḳhatm haiñ vāqi'āt bhī ziist kī vārdāt bhī
ab vo jhukī jhukī nazar ḳhud koī dāstāñ sunā.e
mūnis-e-ḳhalvat-e-vafā aaj bhī hai vo dil ki jo
sham' kī lau meñ thartharā.e chāñd ke saath Duub jaa.e
maut ke baa'd ziist kī bahs meñ mubtalā the log
ham to 'sahar' guzar ga.e tohmat-e-zindagī uThā.e
ab yahi ranj-e-be-dili mujh ko miTae ya banae
lakh wo mehrban sahi us ki taraf bhi kaun jae
ruThe hue wujud bhi dard-e-ana se kam nahin
kyun main kisi ke naz uThaun mujh ko bhi koi kyun manae
saya-e-qurb mein milen aa wahi donon waqt phir
honT pe subh jagmagae aankh mein sham muskurae
din ko dayar-e-did mein wusat-e-lams se gurez
shab ko hisar-e-chashm mein KHud hi misl-e-KHwab aae
KHatm hain waqi'at bhi zist ki wardat bhi
ab wo jhuki jhuki nazar KHud koi dastan sunae
munis-e-KHalwat-e-wafa aaj bhi hai wo dil ki jo
sham' ki lau mein thartharae chand ke sath Dub jae
maut ke ba'd zist ki bahs mein mubtala the log
hum to 'sahar' guzar gae tohmat-e-zindagi uThae
- Book : namuud (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.