Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin

Zia Jalandhari

ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    ab ye āñkheñ kisī taskīn se tābinda nahīñ

    maiñ ne rafta se ye jaanā hai ki ā.inda nahīñ

    tere dil meñ koī ġham merā numā.inda nahīñ

    āgahī terī mizha par abhī raḳhshanda nahīñ

    dil-e-vīrāñ dam-e-īsā hai ga.e vaqt yaad

    kaun lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahīñ

    bhī chāhe to na aa.egī vo biitī huī raat

    hai vahī chāñd magar vaisā daraḳhshinda nahīñ

    abr-e-āvāra se mujh ko hai vafā ummīd

    barq-e-betāb se shikva hai ki pā.inda nahīñ

    kabhī ġhunche ko mahakne se koī rok sakā

    shauq agar hai to phir iz.hār se sharminda nahīñ

    ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin

    main ne rafta se ye jaana hai ki aainda nahin

    tere dil mein koi gham mera numainda nahin

    aagahi teri mizha par abhi raKHshanda nahin

    dil-e-viran dam-e-isa hai gae waqt ki yaad

    kaun sa lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahin

    tu bhi chahe to na aaegi wo biti hui raat

    hai wahi chand magar waisa daraKHshinda nahin

    abr-e-awara se mujh ko hai wafa ki ummid

    barq-e-betab se shikwa hai ki painda nahin

    kabhi ghunche ko mahakne se koi rok saka

    shauq agar hai to phir izhaar se sharminda nahin

    Source :
    • Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 205)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now