ab ye baat mani hai
ab ye baat maanī hai
vasl rā.egānī hai
us kī dard āñkhoñ meñ
hijr kī kahānī hai
jiit jis kisī kī ho
ham ne haar maanī hai
chūḌiyāñ bikharne kī
rasm ye purānī hai
umr ke jazīre par
ġham kī hukmarānī hai
mil gayā to vahshat kī
dāstāñ sunānī hai
hijratoñ ke sahrā kī
dil ne ḳhaak chhānī hai
ab ye baat mani hai
wasl raegani hai
us ki dard aankhon mein
hijr ki kahani hai
jit jis kisi ki ho
hum ne haar mani hai
chuDiyan bikharne ki
rasm ye purani hai
umr ke jazire par
gham ki hukmarani hai
mil gaya to wahshat ki
dastan sunani hai
hijraton ke sahra ki
dil ne KHak chhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.