ab ye kaifiyyat-e-dil hai ki chhupae na bane
ab ye kaifiyyat-e-dil hai ki chhupā.e na bane
aur jo vo pūchheñ ki kyā hai to batā.e na bane
tum ko āzurdagī-e-dil kā mazā kyā mā'lūm
kaash tum se bhī koī kaam banā.e na bane
tū ne kyuuñ un ko ġham-e-zīst diyā hai yārab
jin se ik ranj-e-mohabbat bhī uThā.e na bane
haa.e kyā pās-e-mohabbat hai ki tanhā.ī meñ bhī
ashk āñkhoñ meñ rahe aur bahā.e na bane
ham-nashīñ pūchh na is bazm kī rasmeñ ki jahāñ
mujh se vahshī ko bhī bin hosh meñ aa.e na bane
vaqt kī chāragarī yuuñ to musallam hai magar
zaḳhm bhī vo hai ki tā-'umr dabā.e na bane
ye bhī ik rasm-e-tamāshā hai vahāñ ai 'ālī'
dekhte rahiye magar aañkh uThā.e na bane
ab ye kaifiyyat-e-dil hai ki chhupae na bane
aur jo wo puchhen ki kya hai to batae na bane
tum ko aazurdagi-e-dil ka maza kya ma'lum
kash tum se bhi koi kaam banae na bane
tu ne kyun un ko gham-e-zist diya hai yarab
jin se ek ranj-e-mohabbat bhi uThae na bane
hae kya pas-e-mohabbat hai ki tanhai mein bhi
ashk aankhon mein rahe aur bahae na bane
ham-nashin puchh na is bazm ki rasmen ki jahan
mujh se wahshi ko bhi bin hosh mein aae na bane
waqt ki chaaragari yun to musallam hai magar
zaKHm bhi wo hai ki ta-'umr dabae na bane
ye bhi ek rasm-e-tamasha hai wahan ai 'ali'
dekhte rahiye magar aankh uThae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.