ab zard libaade bhi nahin KHushk shajar par
ab zard libāde bhī nahīñ ḳhushk shajar par
jis samt nazar uThtī hai be-rañg hai manzar
utre haiñ mirī āñkhoñ meñ javoñ ke sahīfe
ḳhvāboñ kā farishta huuñ maiñ ġhazloñ kā payambar
biite hue lamhoñ se mulāqāt agar ho
le aanā havāo zarā ik baar mire ghar
itrāo na mastī meñ javāñ-sāl parindo
purvā.ī ke jhoñkoñ se bhī kaT jaate haiñ shahpar
aa jaate haiñ jab bhī tirī ḳhushbū ke bulāve
pechīda savālāt kiyā kartā hai bistar
ab zard libaade bhi nahin KHushk shajar par
jis samt nazar uThti hai be-rang hai manzar
utre hain meri aankhon mein jawon ke sahife
KHwabon ka farishta hun main ghazlon ka payambar
bite hue lamhon se mulaqat agar ho
le aana hawao zara ek bar mere ghar
itrao na masti mein jawan-sal parindo
purwai ke jhonkon se bhi kaT jate hain shahpar
aa jate hain jab bhi teri KHushbu ke bulawe
pechida sawalat kiya karta hai bistar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.