ab zindagi ko ek naya unwan chahiye
ab zindagī ko ik nayā unvān chāhiye
āzādiyāñ nahīñ mujhe zindān chāhiye
Dar hai ki jam na jaa.e kisī kī nazar kī gard
qur.ān-e-husn ke liye juzdān chāhiye
ḳhālī makān dil hai kahīñ aa baseñ na ġhair
dar par tumhārī yaad kā darbān chāhiye
muslim masīhī hindū-o-sikh haiñ bahut magar
duniyā ko amn ke liye insān chāhiye
merā vatan hī merā chaman hai bahār hai
aur is chaman ko sachchā nigahbān chāhiye
kyā zindagī hai pal kā bharose nahīñ magar
sadiyoñ ke vāste sar-o-sāmān chāhiye
ab zindagi ko ek naya unwan chahiye
aazadiyan nahin mujhe zindan chahiye
Dar hai ki jam na jae kisi ki nazar ki gard
quran-e-husn ke liye juzdan chahiye
KHali makan dil hai kahin aa basen na ghair
dar par tumhaari yaad ka darban chahiye
muslim masihi hindu-o-sikh hain bahut magar
duniya ko amn ke liye insan chahiye
mera watan hi mera chaman hai bahaar hai
aur is chaman ko sachcha nigahban chahiye
kya zindagi hai pal ka bharose nahin magar
sadiyon ke waste sar-o-saman chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.