ab zindagi mein hosh ka imkan to gaya
ab zindagī meñ hosh kā imkān to gayā
lekin tirī nigāh ko pahchān to gayā
ab bhī hai ye ḳhayāl kisī tarah dekh luuñ
maanā ki dil se chaah kā armān to gayā
mānūs ġham se ban ke raheñ kyoñ na dahr meñ
hāsil kabhī ḳhushī ho ye imkān to gayā
ai kaash be-ḳhudī kā bhī anjām dekh luuñ
dil kī tarah se hosh kā imkān to gayā
achchhā huā ki va.ade se inkār kar diyā
har vaqt kā ye haath meñ qur.ān to gayā
us but kī ai 'munīr' nigāhoñ meñ sehr thā
go jaan bach ga.ī magar īmān to gayā
ab zindagi mein hosh ka imkan to gaya
lekin teri nigah ko pahchan to gaya
ab bhi hai ye KHayal kisi tarah dekh lun
mana ki dil se chah ka arman to gaya
manus gham se ban ke rahen kyon na dahr mein
hasil kabhi KHushi ho ye imkan to gaya
ai kash be-KHudi ka bhi anjam dekh lun
dil ki tarah se hosh ka imkan to gaya
achchha hua ki wade se inkar kar diya
har waqt ka ye hath mein quran to gaya
us but ki ai 'munir' nigahon mein sehr tha
go jaan bach gai magar iman to gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.