abas hai shauq laDakpan mein zulm Dhane ka
abas hai shauq laḌakpan meñ zulm Dhāne kā
javān ho ke galā kāTnā zamāne kā
asiir maiñ to qafas meñ huuñ ik zamāne kā
ḳhayāl hai na chaman kā na āshiyāne kā
falak kī ḳhair nahīñ hai mirī adāvat meñ
miTā rahā hai use ġham mire miTāne kā
hameñ ye rashk ki aalam raqīb hai apnā
unheñ ye naaz ki aayā hai dil zamāne kā
'jigar' shabāb miTā ham miTe mohabbat meñ
abhī talak na miTā shauq dil lagāne kā
abas hai shauq laDakpan mein zulm Dhane ka
jawan ho ke gala kaTna zamane ka
asir main to qafas mein hun ek zamane ka
KHayal hai na chaman ka na aashiyane ka
falak ki KHair nahin hai meri adawat mein
miTa raha hai use gham mere miTane ka
hamein ye rashk ki aalam raqib hai apna
unhen ye naz ki aaya hai dil zamane ka
'jigar' shabab miTa hum miTe mohabbat mein
abhi talak na miTa shauq dil lagane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.