abas kyuuñ umr sone meñ gañvāyā
jo koī jaagā so apne piv ko paayā
musāfir raah par sonā bhalā nahīñ
jo koī soyā vahī hasrat lajāyā
jatan hoshyār le jā maal aur dhan
jahāñ meñ aa ke tū jo kuchh kamāyā
agar koī so rahe rah meñ ḳhatar ke
gañvāyā maal apne ko khapāyā
'alīmullāh' sotā thā ḳhvāb meñ mast
karīm apnā karam kar kar jagāyā
abas kyun umr sone mein ganwaya
jo koi jaga so apne piw ko paya
musafir rah par sona bhala nahin
jo koi soya wahi hasrat lajaya
jatan hoshyar le ja mal aur dhan
jahan mein aa ke tu jo kuchh kamaya
agar koi so rahe rah mein KHatar ke
ganwaya mal apne ko khapaya
'alimullah' sota tha KHwab mein mast
karim apna karam kar kar jagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.