abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh
abas vajūd kā dukh tañgī-e-hayāt kā dukh
ki dil ne paalā huā hai har ek zaat kā dukh
talāsh-e-jannat-o-dozaḳh meñ rā.egāñ insāñ
zamīñ pe roz manātā hai kā.enāt kā dukh
ka.ī jhameloñ meñ uljhī sī bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kāġhzāt kā dukh
tamām din kī musībat to baañT lī ham ne
kabhī kahā hī nahīñ apnī apnī raat kā dukh
ga.e dinoñ kā koī ḳhvāb dafn hai shāyad
ki ab bhī aañkh se ristā hai bāqiyāt kā dukh
imām-e-tishna kī aulād Thahrī huuñ āḳhir
so mujh ko yaksāñ milā rāvī-o-furāt kā dukh
na jaane mālik-e-kun kis tarah nibhātā hai
ye dastaras kī suhūlat ye mumkināt kā dukh
abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh
ki dil ne pala hua hai har ek zat ka dukh
talash-e-jannat-o-dozaKH mein raegan insan
zamin pe roz manata hai kaenat ka dukh
kai jhamelon mein uljhi si bad-maza chae
udas mez pe daftar ke kaghzat ka dukh
tamam din ki musibat to banT li hum ne
kabhi kaha hi nahin apni apni raat ka dukh
gae dinon ka koi KHwab dafn hai shayad
ki ab bhi aankh se rista hai baqiyat ka dukh
imam-e-tishna ki aulad Thahri hun aaKHir
so mujh ko yaksan mila rawi-o-furaat ka dukh
na jaane malik-e-kun kis tarah nibhata hai
ye dastaras ki suhulat ye mumkinat ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.