abhi apne martaba-e-husn se miyan ba-KHabar tu hua nahin
abhi apne martaba-e-husn se miyan ba-KHabar tu hua nahin
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
abhī apne martaba-e-husn se miyāñ bā-ḳhabar tū huā nahīñ
ki ġhazal-sarā tire baaġh meñ koī murġh-e-tāza-navā nahīñ
jo galī meñ yaar kī jā.ūñ huuñ to ajal kahe hai ye rahm khā
tū sitam-rasīda na jā udhar koī zinda vaañ se phirā nahīñ
vo ġharīb-o-be-kas-o-zār thā tujhe us kā detā huuñ maiñ pata
tire kushta kā vo mazār thā ki charāġh jis meñ jalā nahīñ
jo hakīm paas maiñ jā.ūñ huuñ to vo dostī se sunā.e hai
tū ma.āsh kī bhī talāsh kar ye maqām-e-faqr-o-fanā nahīñ
mujhe ishq rakhtā hai sar-nigūñ mirā jaal pūchho na kyā kahūñ
maiñ habāb-e-bahr kā shīsha huuñ mire TūTne kī sadā nahīñ
tire ḳhāksāroñ ne apnā sar nahīñ piiTā dasht meñ is qadar
ki bagūla vaañ se ġhubār kā taraf āsmāñ ke gayā nahīñ
na nasīm-e-bāġh-o-bahār huuñ na fidā-e-rū-e-nigār huuñ
maiñ ġharīb-e-shahr-o-dayār huuñ mirī dair o ka.aba meñ jā nahīñ
tire naḳhl-e-husn kī koñpleñ abhī nā-shagufta haiñ ai parī
jo nasīm aa.ī hai us ne bhī inheñ kuchh samajh ke chhuā nahīñ
tire gesuoñ meñ jo jaatī hai to mirā hī haal kah aatī hai
mirī ḳhasm-e-jāñ bhī to is qadar ye nasīm-e-nāfā-kushā nahīñ
na maiñ rahne vaalā huuñ baaġh kā na safīr-sanj huuñ raag kā
mujhe DhūñDe hai so vo kis jagah kahīñ āshiyān-e-humā nahīñ
koī zaḳhm-ḳhurda hai ḳhaar kā koī ḳhūñ-tapīda bahār kā
hai mirā hī hausla 'mus.hafī' ki kisī se mujh ko gilā nahīñ
abhi apne martaba-e-husn se miyan ba-KHabar tu hua nahin
ki ghazal-sara tere bagh mein koi murgh-e-taza-nawa nahin
jo gali mein yar ki jaun hun to ajal kahe hai ye rahm kha
tu sitam-rasida na ja udhar koi zinda wan se phira nahin
wo gharib-o-be-kas-o-zar tha tujhe us ka deta hun main pata
tere kushta ka wo mazar tha ki charagh jis mein jala nahin
jo hakim pas main jaun hun to wo dosti se sunae hai
tu maash ki bhi talash kar ye maqam-e-faqr-o-fana nahin
mujhe ishq rakhta hai sar-nigun mera jal puchho na kya kahun
main habab-e-bahr ka shisha hun mere TuTne ki sada nahin
tere KHaksaron ne apna sar nahin piTa dasht mein is qadar
ki bagula wan se ghubar ka taraf aasman ke gaya nahin
na nasim-e-bagh-o-bahaar hun na fida-e-ru-e-nigar hun
main gharib-e-shahr-o-dayar hun meri dair o kaba mein ja nahin
tere naKHl-e-husn ki konplen abhi na-shagufta hain ai pari
jo nasim aai hai us ne bhi inhen kuchh samajh ke chhua nahin
tere gesuon mein jo jati hai to mera hi haal kah aati hai
meri KHasm-e-jaan bhi to is qadar ye nasim-e-nafa-kusha nahin
na main rahne wala hun bagh ka na safir-sanj hun rag ka
mujhe DhunDe hai so wo kis jagah kahin aashiyan-e-huma nahin
koi zaKHm-KHurda hai KHar ka koi KHun-tapida bahaar ka
hai mera hi hausla 'mushafi' ki kisi se mujh ko gila nahin
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.