abhi dil mein gunjti aahaTen mere sath hain
abhī dil meñ gūñjtī āhaTeñ mire saath haiñ
tū nahīñ hai aur tirī dhaḌkaneñ mire saath haiñ
tū ne ek umr ke ba.ad pūchhā hai hāl-e-dil
vahī dard-o-ġham vahī hasrateñ mire saath haiñ
tire saath guzre hasīn lamhoñ kī shoḳhiyāñ
vahī rañg-o-bū vahī raunaqeñ mire saath haiñ
mire paañv meñ haiñ zamīn kī sabhī gardisheñ
sabhī āsmān kī sāzisheñ mire saath haiñ
mire zehn meñ haiñ mohabbatoñ ke vo raat din
vo aziyyateñ vo navāzisheñ mire saath haiñ
jo bichhaḌte lamhoñ 'shumār' tū ne kiye bahut
vo tamām shikve-shikāyateñ mire saath haiñ
abhi dil mein gunjti aahaTen mere sath hain
tu nahin hai aur teri dhaDkanen mere sath hain
tu ne ek umr ke baad puchha hai haal-e-dil
wahi dard-o-gham wahi hasraten mere sath hain
tere sath guzre hasin lamhon ki shoKHiyan
wahi rang-o-bu wahi raunaqen mere sath hain
mere panw mein hain zamin ki sabhi gardishen
sabhi aasman ki sazishen mere sath hain
mere zehn mein hain mohabbaton ke wo raat din
wo aziyyaten wo nawazishen mere sath hain
jo bichhaDte lamhon 'shumar' tu ne kiye bahut
wo tamam shikwe-shikayaten mere sath hain
- Book : hamen terii tamnnaa hai (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.