Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum

Dagh Dehlvi

abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    abhī hamārī mohabbat kisī ko kyā ma.alūm

    kisī ke dil haqīqat kisī ko kyā ma.alūm

    yaqīñ to ye hai vo ḳhat javāb likkheñge

    magar navishta-e-qismat kisī ko kyā ma.alūm

    ba-zāhir un ko hayā-dār log samjhe haiñ

    hayā meñ jo hai sharārat kisī ko kyā ma.alūm

    qadam qadam pe tumhāre hamāre dil tarah

    basī huī hai qayāmat kisī ko kyā ma.alūm

    ye ranj o aish hue hijr o vasl meñ ham ko

    kahāñ hai dozaḳh o jannat kisī ko kyā ma.alūm

    jo saḳht baat sune dil to TuuT jaatā hai

    is ā.īñe nazākat kisī ko kyā ma.alūm

    kiyā kareñ vo sunāne ko pyaar bāteñ

    unheñ hai mujh se adāvat kisī ko kyā ma.alūm

    ḳhudā kare na phañse dām-e-ishq meñ koī

    uThā.ī hai jo musībat kisī ko kyā ma.alūm

    abhī to fitne barpā kiye haiñ aalam meñ

    uThā.eñge vo qayāmat kisī ko kyā ma.alūm

    janāb-e-'dāġh' ke mashrab ko ham se to pūchho

    chhupe hue haiñ ye hazrat kisī ko kyā ma.alūm

    abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum

    kisi ke dil ki haqiqat kisi ko kya malum

    yaqin to ye hai wo KHat ka jawab likkhenge

    magar nawishta-e-qismat kisi ko kya malum

    ba-zahir un ko haya-dar log samjhe hain

    haya mein jo hai shararat kisi ko kya malum

    qadam qadam pe tumhaare hamare dil ki tarah

    basi hui hai qayamat kisi ko kya malum

    ye ranj o aish hue hijr o wasl mein hum ko

    kahan hai dozaKH o jannat kisi ko kya malum

    jo saKHt baat sune dil to TuT jata hai

    is aaine ki nazakat kisi ko kya malum

    kiya karen wo sunane ko pyar ki baaten

    unhen hai mujh se adawat kisi ko kya malum

    KHuda kare na phanse dam-e-ishq mein koi

    uThai hai jo musibat kisi ko kya malum

    abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam mein

    uThaenge wo qayamat kisi ko kya malum

    janab-e-'dagh' ke mashrab ko hum se to puchho

    chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya malum

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ahmad Husain, Mohammad Husain

    Ahmad Husain, Mohammad Husain

    Unknown

    Unknown

    Masood Rana

    Masood Rana

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-daag(mehtaab-e-daag) (Pg. 717)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now