abhi is fikr se nikla nahin hun
abhī is fikr se niklā nahīñ huuñ
maiñ kyā huuñ aur āḳhir kyā nahīñ huuñ
mujhe tum mere mausam hī meñ paḌhnā
nisāb-e-nasl-e-ā.inda nahīñ huuñ
vafādārī kināroñ se jo badle
maiñ dariyāoñ kā vo rasta nahīñ huuñ
jo dil kī dhaḌkanoñ kī ham-navā hai
usī āvāz par palTā nahīñ huuñ
bahut se mas.ale haiñ zindagī meñ
magar tujh ko to maiñ bhūlā nahīñ huuñ
maiñ terī dastaras meñ to nahīñ thā
tire imkān meñ bhī kyā nahīñ huuñ
bahut sochā tire nazdīk aa kar
maiñ tere paas huuñ bhī yā nahīñ huuñ
jo duniyā tujh se vāqif hī nahīñ hai
maiñ us duniyā kā bāshinda nahīñ huuñ
abhi is fikr se nikla nahin hun
main kya hun aur aaKHir kya nahin hun
mujhe tum mere mausam hi mein paDhna
nisab-e-nasl-e-ainda nahin hun
wafadari kinaron se jo badle
main dariyaon ka wo rasta nahin hun
jo dil ki dhaDkanon ki ham-nawa hai
usi aawaz par palTa nahin hun
bahut se masale hain zindagi mein
magar tujh ko to main bhula nahin hun
main teri dastaras mein to nahin tha
tere imkan mein bhi kya nahin hun
bahut socha tere nazdik aa kar
main tere pas hun bhi ya nahin hun
jo duniya tujh se waqif hi nahin hai
main us duniya ka bashinda nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.