abhi ki fursat-e-be-kari-e-junun hai bahut
abhī ki fursat-e-be-kārī-e-junūñ hai bahut
hamārā haal bhī pahle se ab zubūñ hai bahut
dhuāñ dhuāñ sī hai kuchh shahr-e-zindagī kī fazā
bas ek dil hai yahāñ par ki sho.ala-gūñ hai bahut
na shauq-e-lazzat-e-duniyā na zauq-e-aish-e-davām
hamāre dil pe tirī chashm kā fusūñ hai bahut
hamārā dil ki kisī kaam kā rahā hī nahīñ
tumhārī chashm ki ab tak bhī surma-gūñ hai bahut
abhi ki fursat-e-be-kari-e-junun hai bahut
hamara haal bhi pahle se ab zubun hai bahut
dhuan dhuan si hai kuchh shahr-e-zindagi ki faza
bas ek dil hai yahan par ki shoala-gun hai bahut
na shauq-e-lazzat-e-duniya na zauq-e-aish-e-dawam
hamare dil pe teri chashm ka fusun hai bahut
hamara dil ki kisi kaam ka raha hi nahin
tumhaari chashm ki ab tak bhi surma-gun hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.