abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai
abhī maujūd thī lekin abhī gum ho ga.ī hai
na jaane kis jahāñ meñ zindagī gum ho ga.ī hai
mire hamrāh kyuuñ vo shaḳhs chalnā chāhtā hai
safar ke josh meñ kyā āgahī gum ho ga.ī hai
sabhī ḳhush haiñ ki saare gum-shuda phir mil ga.e haiñ
mujhe ġham hai ki ab terī kamī gum ho ga.ī hai
mire hoñToñ ko dariyā ne kiyā sairāb lekin
hayāt-afroz dil kī tishnagī gum ho ga.ī hai
maiñ us se muddatoñ ke ba.ad dobāra dobārā milā huuñ
ḳhushī to hai magar vāraftagī gum ho ga.ī hai
ye kin tishna-laboñ kī fauj guzrī hai idhar se
kahīñ kuchh kam kahīñ puurī nadī gum ho ga.ī hai
hamesha jo mujhe izn-e-suḳhan detī rahī thī
hujūm-e-shor meñ vo ḳhāmushī gum ho ga.ī hai
maiñ us kī yaad se bas ek pal ko gum huā thā
magar lagtā hai jaise ik sadī gum ho ga.ī hai
ba-taur-e-rasm hī kār-e-junūñ baaqī hai mujh meñ
vagarna dasht se vābastagī gum ho ga.ī hai
'salīm' us meñ ziyāda farq to ab bhī nahīñ hai
bas itnā hai ki thoḌī sādgī gum ho ga.ī hai
abhi maujud thi lekin abhi gum ho gai hai
na jaane kis jahan mein zindagi gum ho gai hai
mere hamrah kyun wo shaKHs chalna chahta hai
safar ke josh mein kya aagahi gum ho gai hai
sabhi KHush hain ki sare gum-shuda phir mil gae hain
mujhe gham hai ki ab teri kami gum ho gai hai
mere honTon ko dariya ne kiya sairab lekin
hayat-afroz dil ki tishnagi gum ho gai hai
main us se muddaton ke baad dobara dobara mila hun
KHushi to hai magar waraftagi gum ho gai hai
ye kin tishna-labon ki fauj guzri hai idhar se
kahin kuchh kam kahin puri nadi gum ho gai hai
hamesha jo mujhe izn-e-suKHan deti rahi thi
hujum-e-shor mein wo KHamushi gum ho gai hai
main us ki yaad se bas ek pal ko gum hua tha
magar lagta hai jaise ek sadi gum ho gai hai
ba-taur-e-rasm hi kar-e-junun baqi hai mujh mein
wagarna dasht se wabastagi gum ho gai hai
'salim' us mein ziyaada farq to ab bhi nahin hai
bas itna hai ki thoDi sadgi gum ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.