abhi mausam nahin badla hai mera
abhī mausam nahīñ badlā hai merā
abhī dariyā nahīñ utrā hai merā
tum us markaz ko kho baiThe ho shāyad
jahāñ se dā.era bantā hai merā
maiñ jis dīvār kā pahlū-nashīñ huuñ
usī ke saa.e par saayā hai merā
na dekho is tarah āñkhoñ meñ merī
ki in se bhī pare rastā hai merā
havā zinda rakhe yā qatl kar de
diyā dīvār par rakkhā hai merā
abhi mausam nahin badla hai mera
abhi dariya nahin utra hai mera
tum us markaz ko kho baiThe ho shayad
jahan se daera banta hai mera
main jis diwar ka pahlu-nashin hun
usi ke sae par saya hai mera
na dekho is tarah aankhon mein meri
ki in se bhi pare rasta hai mera
hawa zinda rakhe ya qatl kar de
diya diwar par rakkha hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.