abhi qail hue hi the tumhaari rahnumai ke
abhī qaa.il hue hī the tumhārī rahnumā.ī ke
tabhī anjām dekhe kuchh ḳhudāoñ kī ḳhudā.ī ke
yuuñ mujh se duur jaane kā safar ye rā.egāñ hogā
kabhī vo din na bhūleñge terī mujh se rihā.ī ke
diloñ se jo nikaltī hai miTā.e se nahīñ miTtī
nahīñ jaate kabhī ye rañg dil kī raushnā.ī ke
diye ke ek ishāre par lapak kar jaan dete haiñ
abhī tevar kahāñ dekhe haiñ tum ne pārsā.ī ke
koī hiirā koī motī vo phūloñ se sajā bistar
batāo daam kyā paa.e ho apnī muñh-dikhā.ī ke
banāne meñ miTāne meñ zarā to vaqt lagtā hai
abhī din hī hue kitne tumhārī bevafā.ī ke
hamesha kuchh namī baaqī bachī rahtī hai āñkhoñ meñ
kuchh aisā haal hai un kā ki jañgal hoñ tarā.ī ke
miloge ḳhaak meñ tum bhī to mujh se mil hī jāoge
faqat kuchh saal baaqī haiñ merī tum se judā.ī ke
abhi qail hue hi the tumhaari rahnumai ke
tabhi anjam dekhe kuchh KHudaon ki KHudai ke
yun mujh se dur jaane ka safar ye raegan hoga
kabhi wo din na bhulenge teri mujh se rihai ke
dilon se jo nikalti hai miTae se nahin miTti
nahin jate kabhi ye rang dil ki raushnai ke
diye ke ek ishaare par lapak kar jaan dete hain
abhi tewar kahan dekhe hain tum ne parsai ke
koi hira koi moti wo phulon se saja bistar
batao dam kya pae ho apni munh-dikhai ke
banane mein miTane mein zara to waqt lagta hai
abhi din hi hue kitne tumhaari bewafai ke
hamesha kuchh nami baqi bachi rahti hai aankhon mein
kuchh aisa haal hai un ka ki jangal hon tarai ke
miloge KHak mein tum bhi to mujh se mil hi jaoge
faqat kuchh sal baqi hain meri tum se judai ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.